Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwajah Masoom Sirhindi

Rahmatullah Alayh

 

Aap Hazrat Imam Rabbani Rahmatullah Alayh ke sahibzadah aur janasheen hain. Aap ki wiladat1007 Hijri mein Sirhind  shareef  mein hui aur isi saal Hazrat Imam Rabbani Rahmatullah Alayh Hazrat Khwaja Mohammad Baqi billah Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein haazir hue thay. Is liye Hazrat Imam Rabbani  Rahmatullah Alayh Hazrat Urwah tul Wasqa Rahmatullah Alayh ki wiladat ko naik faal khayaal karte thay aur apni zindagi hi mein unko Qutub e Aalam ke mansab par faiz honay ki basharat day di thi .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Gayarah saal ki Umar mein Hazrat Imam Rabbani Rahmatullah Alayh ne aap ko baet aur tareqat ki taleem di. Solah saal ki Umar mein tamam aloom  e aqlia o naqlia  ki tehseel se farigh hue. Sirf aik mah ki mukhtasir muddat mein Quran Majeed hifz kar liya. Sunnat aur amal bah azimat ke silsilay mein aap Hazrat Mujaddad alif sani Rahmatullah Alayh ke amli namona thay, jis ka izhaar matobaat e Masoomi  mein bakhoobi hota hai .

Hazrat Imam Rabbani  Rahmatullah Alayh ne aap ko wasiyat farmai thi kay tum khush dil ho ya tang dil, har soorat mein jis se bhi milo khawah woh acha ho ya bura, kushadah peshani aur husn e ikhlaq se milo. Kisi par aitraaz nah karo, guftagu mein sakhti hargiz nah karo, khanqah ki tooti chitaai ko takht e saltanat samjhoo. Purani jhonpari aur sookhi roti par qanaat karo. Sohbat umraa aur majlis e Sultan se parhaiz rakho .

Hazrat Masoom Rahmatullah Alayh ki zindagi isi ehad par khatam hui kay Sultan Shah Jahan aap ki rafaqat ki tamanna karta raha magar kamyaab nah ho saka. Sultan Alamgir halqa Eradat mein daakhil howa. Hakm e waqt tha magar Hazrat sahib ka is par is qader roab taari rehta tha kay majlis mein jahan jagah mil jati baith jata tha aur aap ki khidmat mein adab ki bana par zabaan se shaz o nadir hi kuch arz karta tha. Hamesha likh kar guzarshat  paish karta tha .

Mashhoor  riwayat  ke mutabiq aap ke saath hazaar Khulfa aur no laakh muridin thay. Kayi Badshah aap ke mureed thay. Jab aap Hijaz muqaddas tashreef le gaye to hazaron ki tadaad mein ahal harmin aap se baet hue. Is qader tableeghi masrofiyat ke bawajood  dars o tadrees ka mashgala kabhi tark nah kya. Asar ke baad waaz  naseehat  ki majlis hoti thi. Khawateen ki talqeen aur naseehat ke liye waqt muqarrar hota tha. Log ba eial aap ke darbaar mein atay, jin ke liye alehda jagah ka intizam hota tha aur Hazrat Rahmatullah Alayh ki sahbzadyan darmiyan mein vasta hoti theen .

Tareekh marat al aalam o Jahan numa jo Aurang Zail Alamgir ke hukum se likhi gayi thi is mein kay mushshaikiat ki musnand par koi asia shakhs  nahi baitha jasa ke Khwaja Muhammad Masoom. Atraaf o aknaaf e aalam ke Badshah, ulama, mashaiykh, chhootey barray, shareef, mashriq se maghrib aur shumal se junoob tak aap ke mureed thay.la tadad khas o aam bandgaan e Khuda subah wa sham parwanon ki terhan aap par jaan  fida karte. Hindustan, Turan, Turkistan, , Dasht , kashghr, Khata, room, Shaam aur Yemen ke Badshah aap ke mureed hue. Roye zameen ke mukhtalif  hisson ke log aap ko khwab mein dekh kar Anbia o Aulia se khushkhabri pa kar hazir e kidmat  ho kar sharf  e baet se Musharraf  hotay. Mukhtalif mulkon mein aap ke Khulfa ki khidmat mein hzar ha admion ka majma rehta. Her roz senkron  naye mureed hazir hote aur fana o baqa aur parwardegar ka pora pora qurb haasil karte. Aap ki majlis ka robe aur dabdebah is qared tha kay majlis mubarak mein barray barray Badshah aapas mein guftagu nah kar saktay thay.Bagair ijazat baat nah karte.Agar bera zaroori kaam hota tu kaghz par likh kar aap ki khidmat mein paish karte. Shahensha Hind Aurang Zail Alamgir  par aap badarja ghayit meharban thay lekin phir bhi ba sabab ghayit darja is ne kabhi aap ke hazoor main  kisi se guftgo na ki aur nah bagair ijazat betha .

Aap ke aik damaad ne posheeda  tour par kisi doosri aurat ki taraf rujoo kya. Sahbzadyon ne is amar ki aap se shikiayt ki. Aap ki zabaan se nikla mar jaye ga. Sahbzadyon ne arz ki kay jeeta rahay. Farmaya kay bas jo hona tha woh ho gaya. Ab imaan ki dua karo. Chunancha teen chaar roz baad is ka intqaal ho gaya .

Aap ke aik mureed ka bayan hai kay mujhe iflaas ne tang kya to mein ghabra kar aap ki khidmat aqdes mein haazir howa aur arz ki kay huzoor gurbat ke hathon sakht pareshan hon. Hazrat ne mujhe rupoon  ki theli inayat farmai aur farmaya jis qader chaho kharch kiyejao usay ginna mat. Mein hasb zaroorat is se waqtan foqatan kharch karta  kay mein ne is mein se aik laakh kharch kar daaley lekin woh theli itni ki itni rahi. Aik roz meri biwi ne woh rupay gannay to woh saat so niklay. Uskay baad jab hum ne kharch kya to woh khatam hogaye .

Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Mohammad Saddiq Peshwari bayan karte hain ke aik baar mein Hazrat  se ijazat le kar apne watan rawana howa. Rastay mein Sultan Pur ki nadi ke pul ke neechay mein kapray pak kar raha tha keh mera paon phisla aur mein nadi mein gir gaya. Mein tairna nah jaanta tha. Pani sar se ouncha ho gaya tha. Pani mujhe kabhi uper lata kabhi neechay. Zindagi ki umeed baqi nah rahi thi kay yakayak aap Rahmatullah Alayh  namodaar hue aur haath se pakar kar mujhe bahar laa khara kya aur khud  nazir se gayab ho gaye .

1 shakhs ne aap Rahmatullah Alayh ke huzoor aik rafsi ka zikar kya kay woh sahaba karaam ko bura bhala kehta hai. Aap sakht naraaz hue. Asp Rahmatullah Alayh kharboza kha rahay thay. Aap ne churee haath mein le kar kharboza par rakh kar farmaya kay lo hum rafsi  ka sar kaatetay hain. Yeh keh kar aap Rahmatullah Alayh ne khrboze ko doo tukre  mein kar diya. Usi roz woh rafsi merg e mafajat se mar gaya .

Aap ne wafaat se doo teen roz paishter qarb o jawar ke buzurgon ko aik uqaa likha kay waqat rehlat aa pouncha hai dua farmaen kay khtama bilkhair ho. Wasaal se aik roz pehlay jummay ke din aap Masjid mein tashreef  le gaye aur farmaya kay umeed nahi kay mein kal is waqat tak is duniya mein rahon. Phir sab ko pind o nisah farma kar khalwat mein tashreef  le gaye. Subuh ko namaz e Fajar kamaal tadeel arkaan ke sath ada ki. Hasb mamool muraqba ke baad Ishraaq pari. Baad azan mout aap par shuru ho gaye. Is waqat aap ki zabaan mubarak taiz taiz chalti thi. Aap ke sahbzadon ne kaan laga kar suna to maloom howa kay aap surah Yaseen parh rahay thay gharz kay9 Rabiey al-Awwal 1099 Hijri baroz haftah  is daar faani se rukhsat ho gaye. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Mazaar mubarak Sirhind shareef mein ziaraat ghah  khaas o aam hai .